Hazrat Khawaja Sultaan Bayazid Tayfoor Bastami Radiyallahu Anhu Aur unke Waqiye.

1 of
Published on Video
Go to video
Download PDF version
Download PDF version
Embed video
Share video
Ask about this video

Page 1 (0s)

Hazrat Khawaja Sultaan Bayazid Tayfoor Bastami Radiyallahu Anhu Aur unke Waqiye ..

Page 2 (6s)

Vibrant green forest. Laqab : Sultaan -ul- Aarifeen . Wilaadat : Aap ki wilaadat 188 Hijri (804 A.D.) me Bastam (Iran) me hui. Waaldain : Aap ke waalid ka naam Hazrat Eisā bin Ādam rahmatullāhi alaihi hai . Aap ke daada aatish parast (Zoroastrian) the aur phir musalman hue the. Aap ki waalida bahot hi nek aur parhezgaar thi . Jab Aap apni waalida ke pait me the tab aap ki waalida agar koi mashkook ya nuqsaan pahunchane waali cheez khaa leti to foran un ko qay (vomiting) ho jaati thi ..

Page 3 (50s)

Vibrant green forest. Waalidaa ki Farmabardaari : Ek martaba Aap apni waalida se milne gaye . Subah ke waqt ghar ke darwaaze par pahunche to suna ke Aap ki waalida Aap ke liye dua kar rahi thi . Phir Aap apni waalida ki khidmat me reh gaye . Ek raat ko waalida ne farmaya ke “ Aadha darwaaza khol do.” Yeh keh kar so gai. Aap heraan the ke “ Darwaaze ka daayi taraf ka hissa kholu ya baayi taraf ka?” Waalida ki marzi ke khilaaf koi kaam na ho jaaye isi kashmaksh me Aap ne darwaaze me hi khade khade saari raat guzar gai. Subah ke waqt Aap ki waalida ko pata chala to unho ne dua farmai “Aye mere Rabb! Mere Baayazeed ko apni ma’arifat ata farma de.” Waalida ki dua se Rabb ta’ala ne Aap ko azeem martaba ata farmaaya ..

Page 4 (58s)

Vibrant green forest. Shari’at Par Amal: Ek martaba ek shakhs Aap ki baargaah me aaya . Woh roz Aap ki sohbat me rehta . 40 din ke baad wo aap se ijaazat lekar jaane laga . Aap ne farmaaya ‘Koi khaas kaam se aaye the?’ Us ne kaha ke ‘Maine suna tha aap bade wali e kaamil hain. Is liye main aap ka mureed hone ke liye aaya tha . Ab jaa raha hu.’ Aap ne farmaaya ke ‘ Lekin tum to baghair mureed hue jaa rahe ho.’ Us ne kaha ke ‘Main itne din yaha raha , magar mujhe koi karaamat dekhne nahi mili . Is liye main waapas jaa raha hu.’ Aap ne muskurakar farmaaya ‘Tum 40 din yaha rahe . Mujhe yeh batao ke kya itne din me tum ne meri koi bhi namaaz chhuti ho aisa dekha ya maine koi bhi kaam khilaaf e shariat kiya aisa dekha ?’ Us ne kaha ke ‘ Nahi , maine aisa to kabhi nahi dekha .’ Aap ne farmaaya ke ‘ Yehi sab se badi karaamat hai . ALLĀH ta’ala jab kisi bande se raazi hota hai aur use pasand kar leta hai to use neki aur parhezgaari ki taufiq ata farmata hai aur phir us ke nek amal qubool karta hai to use ye khoobi ata farmaata hai ke us ki dua qubool farmaata hai . Sirf karaamat dikhaana badi baat nahi , magar ALLĀH ta’ala ka khauf dil me rakhna aur us ki raza ke liye ikhlaas aur Ishq e Rasool sallallāhu alaihi wa sallam ke saath nek amal karna aur gunaah se bachna yeh zaroori hai aur ALLĀH ta’ala apna muqarrab banda banaaye yeh asl kamaal hai .’ Yeh sunkar us shakhs ko baat samajh me aai aur foran Aap ka mureeed ho gaya ..

Page 5 (1m 6s)

Vibrant green forest. Aatish Parast padosi : Aap ke pados me ek majoosi Aatish-parast rehta tha . Woh aatish-parast bahot ghareeb tha . Chiraagh jalaane ke liye bhi us ke paas kuchh na tha . Us ka ek doodh peeta bacha tha . Bacha raat ki tareeki me rota rehta tha . Ek raat bacha bahot roya . Hazrat Ba- yazeed uthe aur apna chiraagh us ke ghar chhod aaye . Bacha chup ho gaya . Aap ne kaha “Al- hamdulillāh .” Dusri raat bhi aur teesri raat bhi Aap ne aisa hi kiya . Aap ke is sulook ka us aatish-parast ke dil par bada aṡar hua . Us ne apni biwi ke saath Aap ki baargaah me aakar shukriya ada kiya aur kaha ke “Ek baat samajhna chaahta hu ki aap ne Al- hamdulillāh kyun kaha tha ?” Aap ne farmaaya “Mere Aaqa sallallāhu alaihi wa sallam masjide nabawi me ibaadat kar rahe hote aur kisi ki rone ki aawaaz sunte to foran us ki madad ke liye tashreef le jaate . Yeh sunnat bhi ada ho gai is liye maine ALLĀH ka shukr ada kiya .” Us shakhs ne apni biwi se kaha ki ‘Jab Shaikh Ba- yazeed ki roshni hamare ghar me aa pahunchi to ab hume zaiba nahi ki hum Kufr ki taareeki me hi bhatakte phiren .’ Aur dono musalman ho gaye ..

Page 6 (1m 8s)

Vibrant green forest. Ek Tawaayaf Aurat ki Taubah : Ek martaba basti me ek tawaayaf aurat aa gai aur nau-jawaano ko galat raah par daalne lagi . Aap ko jab is baat ka pata chala to Aap apna musalla lekar us badkaar aurat ke ghar par pahunche aur darwaaze ke saamne ibaadat me masroof ho gaye . Shaher ke log us aurat ke ghar par aate aur Hazrat ko ibaadat karta dekhkar waha se waapas chale jaate . Saara din aise hi guzar gaya . Woh aurat logon ka intazaar karte karte thak gai. Pareshaan hokar shaam ko us ne darwaaza khola to dekha ke Hazrat darwaaze par ibaadat kar rahe hain. Us ne ghusse se kaha ke “ Baaba ! Mera kaam kyun kharaab kar rahe ho ?” Aap ne puchha ke “Tum kya kaam karti ho ?” Us ne kaha “ log mujhe qemat deta hai phir us ki jo marzi ho main woh karti hu.” Aap ne farmaaya “Agar main tumhe qeemat de du to main jo kahunga woh tum karogi ?” Us aurat ne kaha “ Haan .” Aap ne qeemat puchhkar ada kar di. Aur musalla uthakar us aurat ke ghar me gaye aur farmaaya “Ghusl karke paak saaf kapde pahen kar aao .” Us aurat ne Aap ke hukm ki taamil ki. Aap ne musalla bichaaya aur farmaaya “Ab ALLĀH ta’ala ki baargaah me ibaadat ke liye khadi ho jaao .” Jab who aurat ibaadat ke liye khadi hui to Aap ne sajde me jaakar ALLĀH ta’ala se arz ki “Aye Rabbe kareem ! Ise yaha tak laana mera kaam tha , ab aage sambhaalna tera kaam hai .” ALLĀH ke fazl se haalate namaaz hi me us ne tauba kar li aur hamesha ke liye gunaaho ko chhod dene ka faisla kar liya . Tauba ke baad who aurat apne daur ki intihaai nek wa paarsa khaatoon ban gai..

Page 7 (1m 9s)

Vibrant green forest. Aap ki Karaamatein : (1) Ek baar Aap apne mureedo ke saath Hajj ke liye safar kar rahe the. Aap ne apna aur tamaam saathiyo ka saamaan ek oont ke upar rakha tha . Yeh dekhkar ek naujawaan ne kaha ‘ Kitni be- rahami kar rahe hain ke is bechaare oont ke upar bahot ziyada saamaan laad diya hai .’ Aap ne farmaaya ‘Aye naujawaan ! Saamaan ka bojh oont ki peeth ke upar nahi hai . Zara ghaur se dekho aur bataao ke oont ne bojh uthaaya hai ya nahi ?’ Us naujawaan ne phir se dekha to tamaam saamaan oont ki peeth se ek foot upar tha . Us ne kaha ‘Ye to ta’ajjub ki baat hai .’ Aap ne farmaaya ‘Agar main apne muamalaat posheeda rakhu to tum mujhe bura kahoge aur agar main use zaahir kar du to ye tumhari samajh me nahi aayega .’.

Page 8 (1m 11s)

Vibrant green forest. Ek baar chand log Aap ke paas aaye aur bataaya ke ‘ Qahet ki wajah se log pareshaan hain. Aap dua farma dijiye ke ALLĀH ta’ala baarish bhej de.’ Yeh sunkar Aap ne apna sar jhukaakar ghutno par rakha aur phir chand lamho ke baad sar uthaakar farmaaya ‘ Apne apne makaan me paani ko nikaalne ke raaste theek kar lo. Baarish aane wali hai .’ Aur Aap ki dua se pura din aur raat baarish jaari rahi .( SubhanAllah ) Aap ne logo ko ‘ Fana fillāh ’ (Self- annihalation in ALLĀH) aur ‘ Baqa billāh ’ (Existence through ALLĀH) ke baare me bataaya ..

Page 9 (1m 13s)

Vibrant green forest. Khilaafat : Aap Hazrat Imaam Sayyed Ja’afar al-Saadiq rahmatullahi alaihi ke khalifa hain. Hazrat Khwaja Habeeb al- Ajami rahmatullahi alaihi ne bhi Aap ko ( Uwaisi tareeqe se) khilaafat ata farmai hai ..

Page 10 (1m 15s)

Vibrant green forest. Wisaal ke baad karamat : Hazrat Abu Moosā ne khwaab me dekha ke woh arsh ko sar par uthaaye hue hain. Woh is ajeeb khwaab se hairaan hue. Socha ke Hazrat Baayazeed Bastami ki baargaah me haazir hokar un se is khwaab ke baare me baat karu . Woh Hazrat Baayazeed Bastami ki khidmat me haazir hone ke liye rawaana hue. Wha pahunchne par pata chala ke Hazrat Baayazeed Bastami ka wisaal ho gaya hai . Unho ne socha ke ab Hazrat ke janaaze ko kandha to de du. Jab woh kandha dene ke liye aage aaye to use zor se kisi ka dhakka laga aur janaaze ke neeche pahunch gaye aur janaaza bilkul un ke sar par aa gaya . Is se pehle woh kuchh samajh paaye janaaze me se aawaaz aai ke “Abu Moosā ! Tum ne raat ko jo khwaab dekha tha us ki taabir yehi hai .”.

Page 11 (1m 17s)

Vibrant green forest. ALLĀH ta’ala us ke *Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me* *Aur Hazrat Khwaja Baayazeed Bastami * rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allah ke waseele se Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae . Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae . Aameen.

Page 12 (1m 18s)

Vibrant green forest. Next Episode dekne ke liye channel ko subscribe Kijiye . Sukhriya ..